kya karega ja ke baitullah tu dil hi se kar apni paida rah tu dub ja bahr-e-amiq-e-ishq mein yun na hargiz le sakega thah tu ghar se niklega wo apni raat ko mat nikaliye dekhiyo ai mah tu kaba dah jawe to ban sakta hai phir dekhiye dil hai ise mat dhah tu haal-e-dil thoda sa sun kar bol utha bas ab is qisse ko kar kotah tu yar ke dil tak asar ke sath ja aasman tak ja na ja ai mah tu wajibuttazir hai 'rasikh' pa haif qadr se us ki nahin aagah tu