kya karen tadbir-e-wahshat ai dil-e-diwana hum us se mil bhi to nahin sakte hain aazadana hum hum rahen duri kash-e-mai ghair mast-e-arghawan aaj takra denge har paimane se paimana hum dhundh lega aap manzil karwan-e-zindagi ghair ka ehsan kyun len himmat-e-mardana hum lab rahe khamosh lekin sari baaten ho gain ek nazar mein kah gae afsana-dar-afsana hum jis tarah insan ko le dube hain shaikh-o-barahman lao saghar mein dubo den masjid-o-but-khana hum jis ko duniya mein kisi ne munh lagaya hi nahin mahfil-e-rindan mein hain tuta hua paimana hum kash koi dekh hi leta nigah-e-lutf se aae the mahfil mein 'jami' kitne mushtaqana hum