kya karwan-e-hasti guzra rawa-rawi mein farda ko main ne dekha gard-o-ghubar-e-di mein the mahw lala-o-gul kis kaif-e-be-khudi mein zakhm-e-jigar ke tanke tute hansi hansi mein yaran-e-bazm-e-ishrat dhundun kahan main tum ko taron ki chhanw mein ya pichhle ki chandni mein har uqda mein jahan ke poshida hai kashakash hai mauj-e-khanda-e-gul pinhan kali kali mein zakhmon mein khud chamak hai aur us pe ye sitam hai rang-e-paridan se main rahta hun chandni mein hum kis shumar mein the pursish jo hum se hoti ye imtiyaz paya aashob-e-agahi mein hukm-e-qaza ho jaisa sarzad ho feal waisa banda ka dakhl bhi hai phir is kahi badi mein raftar-e-saya ko hai past-o-buland yaksan thokar kabhi na khae rah-e-farotani mein wajd aa gaya falak ko ghash aa gaya zamin ko do tarah ke asar the ek saut-e-sarmadi mein tabir us ki shayad ek wapsin nafas ho jo khwab dekhte the hum sari zindagi mein lai hubab tak ko sail-e-fana baha kar ek aah khinchne ko ek dam ki zindagi mein mahshar ki aafaton ka dhadka nahin raha ab sau hashr main ne dekhe do din ki zindagi mein pahlu mein tu ho ai dil phir hasraten hazaron kis baat ki kami hai teri salamti mein pursan-e-haal wo ho aur samne bula kar kya jaaniye zaban se kya nikle be-khudi mein tu ek zill-e-hasti phir kaisi khud-parasti saya ki parwarish hai daman-e-be-khudi mein hael bas ek nafas hai mahshar mein aur hum mein parda habab ka hai farda mein aur di mein aankhen dikha rahi hai din se mujhe shab-e-gham aasar tirgi ke hain din ki raushni mein tu ne to apne dar se mujh ko utha diya hai parchhain phir rahi hai meri usi gali mein sajda ka hukm mujh ko tu ne to ab diya hai pahle hi likh chuka hun main khatt-e-bandgi mein ai 'nazm' chhed kar hum tujh ko hue pasheman kya jaante the zalim ro dega dil-lagi mein