kya khabar thi ishq mein aisa bhi ek daur aae hai baat kaisi sans leta hun to ji ghabrae hai rahm kar jazb-e-mohabbat ye sitam kyon dhae hai husn aur betab-o-hairan kis se dekha jae hai yun to un ki yaad se milti hai taskin-e-hayat aur jab tadpae hai zalim bahut tadpae hai khushk aankhen muskuraate hont chehra mutmain yun bhi aksar dastan-e-gham sunai jae hai aur to kya zindagi ka hosh tak chhoda nahin lutne wale kahin aise bhi luta jae hai rang-e-gulshan dekhne wale kabhi ye bhi to dekh nannhi nannhi pattiyon mein kaun ras daudaye hai ishq ke mare hue duniya ko dekhen bhi to kya jab nazar uthti hai koi samne aa jae hai husn chhupta phir raha hai mukhtalif pardon mein 'kaif' ishq ki zalim nazar ke samne kaun aae hai