kya koi mere gham main raat bhar taDapta hai

kya koi mere gham main raat bhar tadapta hai
kyon mera dil-e-mahzun sham se dhadakta hai

aashiqi ki basti mein shairi ki duniya mein
dard jitna badhta hai aadmi nikharta hai

chand so gaya shayad raat dhalne wali hai
kis umid mein ai dil phir bhi tu machalta hai

kaj-kulah mah-paro meri bhi zara sun lo
aaftab ko dekho ek waqt dhalta hai

kab bujha sakoge tum tirgi ke matawalo
ek charagh jo mere khun-e-dil se jalta hai

aaj phir chali shayad sham-e-gham ki purwai
chandni mein kyon aakhir zakhm-e-dil mahakta hai

ibtida-e-ulfat hai aur kisi ki furqat ki
dhimi dhimi aanchon par aaj kaun jalta hai

wo jo ek pagal hai kahte hain jise pasha
gul-rukhon ki sohbat mein aur bhi sanakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close