kya lutf masafat mein ki Dar koi nahin hai

kya lutf masafat mein ki dar koi nahin hai
pani ka safar aur bhanwar koi nahin hai

phir kaun hai sahil pe jo rukne nahin deta
viran jaziron mein agar koi nahin hai

ek chap utarti hai dar-e-dil pe har ek shab
dekha hai kai bar magar koi nahin hai

tum meri masafat ke liye aakhiri had ho
ab tum se pare rahguzar koi nahin hai

har shakhs hai jaise koi viran haweli
likkha hai ye mathon pe ki ghar koi nahin hai

hai apne muqaddar mein yahi tirgi 'khurram'
ab raat ke daman mein sahar koi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close