kya mai-kada hai ishq haqiqat mein yar ka be-khud ka hai jo haal wahi hoshiyar ka kya mahw-e-ishq hun mujhe itni nahin khabar furqat ki shab hai roz hai ya wasl-e-yar ka jo chahe wo suluk kare hasrat-e-baqa main aur sath zindagi-e-mustaar ka pahlu mein ab kahan hai wo dil wo hujum-e-yas kya jald mit gaya hai nishan us dayar ka baaten bhi hain to wo hain ki ho aur gham siwa kya jaanen kis taraf ko hai dil gham-gusar ka gulshan mein muntashir to hain auraq-e-gul tamam kaisa tha kuchh na puchho zamana bahaar ka