kya masarrat hai puchhiye humse

kya masarrat hai puchhiye hum se
hai ibarat har ek khushi gham se

araq-alud aap ka chehra
ho dhula phul jaise shabnam se

zabt-e-girya se raaz-e-gham tha chhupa
khul gaya aaj chashm-e-pur-nam se

dard-e-dil ka nahin koi darman
zakhm kya mundamil ho marham se

dar-haqiqat qarib rahte hain
wo ba-zahir hi dur hain hum se

jab azal se khata zamir mein hai
kyun khata ho na ibn-e-adam se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close