kya mita doge nam phulon ka na karo qatl-e-am phulon ka rang-o-bu ne bhi sath chhod diya rafta rafta tamam phulon ka gulistan ko farogh hoga magar shart hai ehtiram phulon ka ek na ek din hisab lena hai baghban se tamam phulon ka mausam-e-gul hai ye khizan to nahin kyun hai barham nizam phulon ka ek do ka moamla to nahin masala hai tamam phulon ka bijliyan le rahi hain gin gin kar ghaaliban intiqam phulon ka khun-e-nahaq hai ye are tauba subh ghunchon ka sham phulon ka yun jo murjha gae baghair khile gham hai aise tamam phulon ka hai sabhi ki nigah mein 'rumi' aaj karb tamam phulon ka