kya pahanta badan kafan ke baad khak hai sab ye pairahan ke baad jaan de sakte hain tumhein bhi hum jaan lekin suno watan ke baad main pareshan itna ho na saka hota bhi kitna pur-shikan ke baad kya ajab tezi zindagi mein hai chal raha hun main par badan ke baad wasl kar hijr ko ganwa diya hai jo mila tha bade jatan ke baad sar sabhi khub hain magar us ki chudiyon ki khanan khanan ke baad ye badan phir bhi khak hona hai ruh ka kya karen badan ke baad