kya qayamat hai buton ki bazm mein jaane ka haz hum ko khidmat ka unhon ko kaam farmane ka haz wasl mein bhi dard-mandon ko nahin rahat nasib dekh lije shama ke milne se parwane ka haz is taraf gul tutta hai us taraf bulbul ka dil kya raha gulchin ke hathon bagh mein jaane ka haz ji nikalta hai mera is par ki kab aaega hath yar ke panw pe sar ko rakh ke mar jaane ka haz bujhta hai khub kaifiyyat nazare ki 'yaqin' us nigah-e-mast se leta hai maikhane ka haz