kya sar-e-tahrir hai aur kya pas-e-tahrir dekh yani har ek takhrib ke parde mein ek taswir dekh thi har ek takhrib ke parde mein ek tamir dekh ghaur se mazi mein apne haal ki taswir dekh kaun paband-e-wafa hai kaun hai nang-e-wafa shama ki aaghosh mein parwane ki taqdir dekh ban gaya hai aaj ki tahzib ka ye aaina har badi ki nekiyon ke nam se tashhir dekh dekhna hi hai to tinka dekh apni aankh ka dusre ki aankh ka ai dost mat shahtir dekh waqt ki hoti hain 'ghazi' sab karishma-saziyan munkir-e-taqdir ko bhi mail-e-taqdir dekh