kya shab-e-gham meri basar na hui tum na aae to kya sahar na hui sham-e-gham ki kabhi sahar na hui jo dua ki wo kargar na hui shab-e-furqat tawil thi jitni aur koi raat is qadar na hui thi nigah-e-karam raqibon par umr bhar wo kabhi idhar na hui kya kahun apni na-muradi-e-dil ki mohabbat bhi mo'atabar na hui meri barbaadiyon ke qisson par kab zamane ki aankh tar na hui shab-e-wada wo aa gae 'nazi' shukr hai kuchh agar-magar na hui