kya suna tum ne zamane se suna bhi dena kya diya hum ne zamane ko bata bhi dena silsila ahd-e-guzishta se mila bhi dena main bhi zinda hun ye ehsas dila bhi dena kis ko aata hai hum aison mein saza bhi dena qatl karna bhi hamein khun-baha bhi dena sham hote hi charaghon ko jalana bhi zarur subh hote hi charaghon ko bujha bhi dena koi tufan-e-bala-khez kab aaega idhar tum ko malum agar ho to bata bhi dena dekh kar subh ke aasar jo hum sone lagen ai nasim-e-sahari hum ko jaga bhi dena gham-zada log jahan hon wahin khulte hain hum aise ahbab kahan hain ye bata bhi dena ye alag baat ki tum bach ke guzar sakte ho rah mein ho koi patthar to hata bhi dena kuchh takalluf bhi zaruri hai sukhanwar ke liye kuchh nae sher kahe hon to suna bhi dena