kya tamasha dekhiye tahsil-e-la-hasil mein hai ek duniya ka maza duniya-e-ab-o-gil mein hai dekh ye jazb-e-mohabbat ka karishma to nahin kal jo tere dil mein tha wo aaj mere dil mein hai main bhala kis se kahun kya kya kahun kaise kahun maut se pahle hi mar jaane ki khwahish dil mein hai mauj o shorish inqalab o iztirab o rust-o-khez hai maza sahil mein kab jo duri-e-sahil mein hai jhank kar dil mein zara ye to bata dije huzur meri qismat ka sitara kaun si manzil mein hai mujh ko bhata hi nahin ek aankh husn-e-kaenat han magar wo jo tere rukhsar ke ek til mein hai kar diya begana-e-gham-ha-e-duniya ishq ne mujh ko aasani yahi to apni is mushkil mein hai tera mazi haal se dast-o-gareban gir raha main batata hun jo 'sarwar' tere mustaqbil mein hai