kya ye mumkin hai ki ek khwab musalsal dekhun nind khul jae to manzar yahi phir kal dekhun nim-wa parda-e-dil kash gira de koi dekh paun tera chehra to mukammal dekhun qaf ke par kisi des mein ja kar utrun aasman par tujhe namnak sa baadal dekhun dasht-e-imkan se pare waqt ke dar par pahunchun ek lamhe ko jakad lun use pal pal dekhun jaane kya aalam-e-wahshat-asari ho andar kaun sa dasht wahan kaun sa jangal dekhun nabz ruk jae nahin ye nahin lekin ai kash hazrat-e-dil main kabhi 'mir' sa danggal dekhun