kya zaruri hai ab ye batana mera tutti shakh par tha thikana mera gham nahin ab mili hain jo tanhaiyan anjuman anjuman tha fasana mera jo bhi aaya hadaf par wo kab bach saka cukta hi nahin tha nishana mera ek zamana kabhi tha mera ham-nawa tum ne dekha kahan wo zamana mera arz-e-bhopal se tha talluq kabhi ab to sab kuchh hai ye ladkana mera na-tawani pe meri jo hain khanda-zan in ko album purana dikhana mera mere jaane se behtar hai 'mohsin' kabhi bazm-e-sher-o-sukhan mein na jaana mera