kyon khayalon mein yar aata hai dil-e-betab ruk sa jata hai chashm-e-giryan se chashm-e-yar talak tar ashkon ka ban sa jata hai kya ujalon se faeda us ko jo andheron se faiz pata hai guftugu us se ki to thi main ne harf-e-matlab zaban pe aata hai wo hi paega manzilon ka suragh gard rahon mein jo udata hai dil tadapta hai jab bhi shair ka rang-e-mahfil tarang pata hai kis se kahta hai muddaa apna kis ko gham apna tu sunata hai