kyun andheron mein rahen raat basar hone tak khud hi khurshid na ban jaen sahar hone tak kitna achchha ho ki is bar mariz-e-shab-e-gham achchha ho jae masiha ko khabar hone tak kitni hi bar khayalon mein tere pas gae ham-safar karte rahe waqt-e-safar hone tak hai ye tashhir-e-mohabbat to kahin baad ki chiz aap mil sakte hain duniya ko khabar hone tak dagh-e-dil apni hi sozish se bana hai khurshid aur kya guzregi qatre pe guhar hone tak ai dil-e-wada-talab phir koi tajwiz-e-wafa ek nazar aur bhi taid-e-nazar hone tak tere sath apne bhi jine ki duaen mangin ham-safar sath rahe khatm-e-safar hone tak had bhi hoti hai koi tishna-labi ki 'nuri' khud hi pi lete hain saqi ki nazar hone tak