kyun fana se daren baqa kya hai bujh gaya dil hi jab raha kya hai bhar gaya kyun tasannoat se ji parda aankhon se uth gaya kya hai surma-e-dida-ha-e-ahl-e-nazar ban gai hai jo khak-e-pa kya hai kaise duniya wajud mein aai aafrinash ka muddaa kya hai jis mein arbon jahan samae hain wo faza kya hai wo khala kya hai chand ki samt hain dawan maujen kya kashish hai ye majra kya hai phail jati hai kis tarah aawaz aankh ka sehr hai ziya kya hai jism-e-be-ruh ko khabar hi nahin dukhma kya gor kya chita kya hai kya jamadat se bhi kam hai bashar zar ki puja se muddaa kya hai aks hai aks har shabih yahan gunj hi gunj hai sada kya hai