kyun hamein maut ke paigham diye jate hain ye saza kam to nahin hai ke jiye jate hain hum hain ek shama magar dekh ke bujhte bujhte raushni kitne andheron ko diye jate hain nashsha donon mein hai saqi mujhe gham de ke sharab mai bhi pi jati hai aansu bhi piye jate hain un ke qadmon pe na rakh sar ke hai ye be-adabi pa-e-nazuk to sar-ankhon pe liye jate hain tujh ko barson se hai kyun tark-e-talluq ka khayal faisle wo hain jo pal-bhar mein liye jate hain apni tarikh-e-mohabbat ke wahi hain suqraat hans ke har sans pe jo zahr piye jate hain aabginon ki tarah dil hain gharibon ke 'shamim' tut jate hain kabhi tod diye jate hain