kyun har uruj ko yahan aaKHir zawal hai

kyun har uruj ko yahan aakhir zawal hai
sochen agar to sirf yahi ek sawal hai

baala-e-sar falak hai to zer-e-qadam hai khak
us be-niyaz ko mera kitna khayal hai

lamha yahi jo is ghadi aalam pe hai muhit
hone ki is jahan mein tanha misal hai

aakhir hui shikast to apni zamin par
apne badan se mera nikalna muhaal hai

suraj hai raushni ki kiran is jagah 'malal'
wusat mein kaenat andhere ka jal hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close