kyun jal-bujhe kahin to giraftar bolte

kyun jal-bujhe kahin to giraftar bolte
zindan mein chup rahe to sar-e-dar bolte

ghar ghar yahan tha gosh-bar-awaz der se
aati sada to sab dar-o-diwar bolte

hota tumhaare khun ka dariya jo maujzan
tufan samundaron mein ba-yak-bar bolte

deta tumhaara nutq dahai to fitratan
lauh-o-qalam ke baam se fankar bolte

tum bolte agar to tumhaari nida ke sath
basti ke sare kucha-o-bazar bolte

ab khalwaton mein shor machane se faeda
tha hausla to bar-sar-e-darbar bolte

dast-e-khizan tha khana-bar-andaz jis ghadi
kyun gung the chaman ke parastar bolte

suraj ne kitne jism jalae hain rah mein
itna to zer-e-saya-e-diwar bolte

lata wafa ki jins jo bazar mein koi
boli ba-qadr-e-zarf-e-kharidar bolte

'zulfi' kali kali mein machalta naya lahu
aata wo sail-e-rang ki gulzar bolte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close