kyun main ab qabil-e-jafa na raha kya hua kahiye mujh mein kya na raha un ki mahfil mein us ke charche hain mujh se achchha mera fasana raha waiz o mohtasib ka jamghat hai mai-kada ab to mai-kada na raha uf-re na-ashnaiyan us ki chaar din bhi to aashna na raha lakh parde mein koi kyun na chhupe raaz-e-ulfat to ab chhupa na raha itni mayusiyan bhi kya 'bekhud' kya khuda ka bhi aasra na raha
Please share if you liked this!!!