kyun na nairang-e-junun par koi qurban ho jae ghar wo sahra ki bahaar aae to zindan ho jae barq dam lene ko thahre to rag-e-jaan ho jae fitna-e-hashr mujassam ho to insan ho jae jauhar-e-aina dil hai wo taswir hai tu dil wo aaina ki tu dekh ke hairan ho jae gham wo rahat jise qismat ke dhani pate hain dam wo mushkil hai ki maut aae to aasan ho jae ishq wo kufr ki iman hai dil walon ka aql majbur wo kafir jo musalman ho jae zarra wo raaz-e-bayaban hai jo ifsha na hua dasht-e-wahshat hai wo zarra jo bayaban ho jae gham-e-mehsus wo baatil jise kahte hain majaz dil ki hasti wo haqiqat hai jo uryan ho jae khuld mai-khane ko kahte hain ba-qaul-e-waiz kaba but-khane ko kahte hain jo viran ho jae sajda kahte hain dar-e-yar pe mar jaane ko qibla wo sar hai jo khak-e-rah-e-jaanan ho jae maut wo din bhi dikhae mujhe jis din 'fani' zindagi apni jafaon pe pashiman ho jae