kyun tere gesu kun gesu bolnan dil mein aata hai ki shabbu bolnan pech kha kar dil mera chakrat mein hai zulf kun teri chakabu bolnan bhul gai aahu kun apni chaukdi tujh nigah kun dam-e-ahu bolnan ya falak ki aarsi mein hai hilal ya kisi ka aks-e-abru bolnan sikh gai gulshan mein tere qad sati sarw par qumri ne ku ku bolnan kan mein hai tere moti aab-dar ya kisi aashiq ka aansu bolnan samne us chehra-e-gulfam ke har gul-e-khushbu kun khud-raw bolnan husn ke lashkar ke rawat hain do-chashm zulf-o-lab shab-khun ka qabu bolnan ab charagh-e-aql gul karni 'siraj' soz-e-dil sen ek yahu bolnan