la-makan-o-makan bolta hai jaise sara jahan bolta hai kyon hain ahl-e-zaban mohr-ba-lab kya koi be-zaban bolta hai koi sunta nahin kisi ki har ek apni apni zaban bolta hai lakh gard-e-safar rahe khamosh rahguzar ka nishan bolta hai sari mahfil dhuan dhuan si hui kaun shoala-bayan bolta hai khushk dharti bhi chup nahin rahti jab kabhi aasman bolta hai wahm hai ek umid-e-subh-e-tarab mujh se mera guman bolta hai aasman tak hai gosh-bar-awaz kaun ye darmiyan bolta hai rang-e-rukh be-zaban sahi 'athar' dil ka hai tarjuman bolta hai