lab-e-KHamosh ko arman-e-guftugu hi sahi

lab-e-khamosh ko arman-e-guftugu hi sahi
jigar mein hausla-e-arz-e-arzu hi sahi

asar qubul hai mujh ko badalti qadron ka
rag-e-hayat mein aslaf ka lahu hi sahi

namaz-e-ishq ada ho rahi hai maqtal mein
ye pur-khulus ibaadat hai be-wuzu hi sahi

use bhi khauf hai gulshan mein zard mausam ka
wo surkh phul ki manind shoala-ru hi sahi

junun-e-ishq ke lashkar se haar jaegi
sipah-e-hosh-o-khirad lakh jang-ju hi sahi

wo meri tishnagi-e-dil bujha nahin sakta
khanakta jam chhalakta hua subu hi sahi

main ek harf-e-malamat hun us ke daman par
wo meri pak mohabbat ki aabru hi sahi

meri nigah ka markaz nahin to kuchh bhi nahin
wo khud-pasand nigahon mein khub-ru hi sahi

'saba' ki shair-e-khush-fikr hai magar gumnam
har ek us se hai waqif wo khush-gulu hi sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close