lab-e-khamosh mujhe aah aah karne de gunah ishq sahi ye gunah karne de tu kaamyab nigahon ko sharmsar na kar isi tarah sitam-e-be-panah karne de abhi se dars-e-haqiqat zara thahar waiz khirad ko aur kharab-e-nigah karne de na raat-din ki khabar hai na aaj-kal ka pata kisi qarar-shikan se nibah karne de nai kaman hai nai mashq hai na rok nigah harim-e-dil ko mukammal tabah karne de kahan teri shab-e-gesu kahan meri shab-e-hijr muqabla bhi nasib-e-siyah karne de na rind hun na shariat se zid mujhe 'talib' koi bala se kare ishtibah karne de