lab-e-khamosh se us ne khush-amdid kaha usi ko logon ne phir guft aur shunid kaha bahaar-e-lala-o-gul se khizan ki aahat tak har ek waqia mausam ne chashm-did kaha junun mein pahle to iqrar kar liya us ne junun ki baat ko phir aql se baid kaha hasin tabsira mausam pe jab tamam hua to us ne kan mein chupke se kuchh mazid kaha tera khayal kiya hum ne wasl se tabir teri gali se guzarne ko bazdid kaha na hum se puchha gaya zabt ka sabab koi na hum ne dard ko apne kabhi shadid kaha meri sarisht-e-'sukhan' mein hain kuchh nae uslub nai ghazal ne mujhe bhi khush-amdid kaha