lab-kushai mein zamane se nahin darna tha umr bhar hum ne kiya kya hamein kya karna tha surkh-ru kar-e-jahan mahfil-e-dil be-raunaq bhar diya rang kahan hum ne kahan bharna tha kis guzargah se manus-e-qadam ho baithe us jagah hum ne to panw hi nahin dharna tha band aankhon se bata sakte hain wo khwab nagar is jagah jhil thi yan hum the wahan jharna tha waqt lazim hai magar ai dil-e-barbaad tujhe jism ki maut se pahle to nahin marna tha ghairiyat aankh mein majburi-e-haalat se thi dil mein ehsas-e-shanasai hamein warna tha ghair ne panw jamane the yahan kawish se hum ne ilzam bure waqt ke sar dharna tha khud se milna tha abhi us se bichhadna tha abhi hum ko jina tha abhi hum ko abhi marna tha kha gai barf bahut waqt se pahle sabza margh-zaron mein ghazalon ko abhi charna tha