lab par KHamoshiyon ko sajae nazar churae

lab par khamoshiyon ko sajae nazar churae
jo ahl-e-dil mein baithe hain chup-chap sar jhukae

kah do koi saba se idhar aaj-kal na aae
kaliyan kahin mahak na uthen phul khil na jae

ab dosti wo fan ki jo sikhe wahi nibhae
aur hai wafa tamasha jise aae wo dikhae

kuchh kahna jurm hai to khata-war main bhi hun
ye aur baat mera kaha wo samajh na pae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close