lab par machalte lafzon ko chakh kar na dekh le

lab par machalte lafzon ko chakh kar na dekh le
wo ped nim ka mere andar na dekh le

dil khwahishon ke kuche mein nikla to hai magar
wo tifl-e-dard phir kahin patthar na dekh le

raste kai badal ke main lauta hun shahr se
dar tha ki wo aziz kahin ghar na dekh le

barham bahut hai aaj wo har ek shakhs se
apna hi aaine mein wo paikar na dekh le

bunden lahu ki sunghti billi wo dard ki
dil ka lahuluhan kabutar na dekh le

hain pauda lajwanti ka khwabon ki muraten
'ikram' waqt hath laga kar na dekh le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close