labon par un ke hayat-afrin hansi na rahi

labon par un ke hayat-afrin hansi na rahi
gulon mein ruh sitaron mein raushni na rahi

khuda shanason ki pahchan hi koi na rahi
ki sar-kashi bhi ba-andaz-e-sar-kashi na rahi

fasana gardish-e-dauran ka nazm kar lete
magar nigah mein un ki wo barhami na rahi

waqar-e-zauq-e-tajassus pe harf aaega
agar sharik-e-safar apne gumrahi na rahi

hai apna soz-e-tabassum sharik-e-saz-e-chaman
asir-e-girya-e-shabnam koi kali na rahi

rahe nigah mein aadab-e-laghzish-e-ulfat
khudi se dab ke kabhi apni be-khudi na rahi

mila tha mauqa-e-takmil-e-dastan-e-hayat
jabin-e-gul pe shikan aur khelti na rahi

shab-e-firaq kuchh aise bhi hadse guzre
charagh jalte rahe aur raushni na rahi

banae hum ne 'shifa' dosti ke wo sanche
ki dushmanon ko tamanna-e-dushmani na rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close