lad hi jae kisi nigar se aankh kash thahre kahin qarar se aankh kuchh mohabbat hai kuchh murawwat hai aaj padti hai mujh pe pyar se aankh chalte rahte hain khub tir-e-nigah baz aati nahin shikar se aankh tiktiki se kahan mili fursat aa gai aajiz intizar se aankh kya padi hai bala ko us ki arz kyun milae umid-war se aankh koi tadbir ban nahin padti kya mile chashm-e-sharmsar se aankh nichi nazron se dekh lete hain kya milaen wo be-qarar se aankh did-bazi ka jis ko lapka hai kab thaharti hai iztirar se aankh nazron nazron mein baaten hoti hain khub milti hai raazdar se aankh kyun ye milti hai be-wafaon se kash ladti wafa-shiar se aankh kabhi dar par kabhi hai raste mein nahin thakti hai intizar se aankh marne ke baad bhi thi sharm un ko ki churai mere mazar se aankh subh-e-mahshar utha nahin jata ab bhi khulti nahin khumar se aankh dil ghani hai mera to kya parwa kab milata hun mal-dar se aankh kyun jhukaun nazar bashir apni kabhi jhapki nahin hazar se aankh