lafz aate hain aur jate hain

lafz aate hain aur jate hain
phul honton ke thartharaate hain

phul hi phul yaad aate hain
aap jab jab bhi muskuraate hain

aap ja kar hawa se kah dije
phul-patte bhi gungunate hain

dhup baithi rahi munderon par
aur kuchh panchhi chahchahate hain

muskurahat khili hai chehre par
ashk aankhon mein jhilmilate hain

un nigahon ke lakshya par main hun
zakhm le kar ke tir aate hain

aise tairak hum nahin 'sajid'
khauf gahraiyon se khate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close