lafz ho pai nahin phir bhi maani mein hun main

lafz ho pai nahin phir bhi maani mein hun main
yani kirdar nahin aur kahani mein hun main

meri pahchan hawalon hi se di jati hai
sidha ek nam nahin hota hai yani mein hun main

mauj dariya ki tumhein sath liye chalti hai
aur udhar jhil ke thahre hue pani mein hun main

manzilen gum hain qadam thahre hue hain phir bhi
zindagi ko ye guman hai ki rawani mein hun main

wo hai jangal to mujhe dhundho parindon mein 'saba'
wo hai dariya to samajh jao ki pani mein hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close