lafz likhna hai to phir kaghaz ki niyyat se na dar is qadar izhaar ki be-manawiyyat se na dar dekh! gulshan mein abhi shakh-e-tahayyur banjh hai phul hona hai to khilne ki aziyyat se na dar hamrah-e-mausam safar ki bastiyon ke darmiyan naqsh-bar-diwar barish ki wasiyyat se na dar ek halki si sada to bin zaban rakhta hai tu chaar jaanib khamushi ki aksariyyat se na dar aasman ek din patinga ho sar-e-sham-e-zamin mom kar apne lahu ko jal aziyyat se na dar