lafzon ki sanglakh silon mein samo diya yaron ne fan ke phul ko patthar mein bo diya meri haqiqaton pe na tu hans ki tujh ko bhi jiddat ke shauq ne sar-e-sahil dubo diya dasti hai ab bhi dil ko kisi ki thithakti chap ek aabju pe jalta hai jab sham ko diya kaisa khayal hai ye kahan ki hai tarz-e-fikr aaya to wo laja gaya bichhda to ro diya tuti jo gir ke jhil ke darpan pe ek kiran mauj-e-saba ne ruh mein kanta chubho diya kal shab muri ki mal pe lintat se pare barish ne us ka chand-sa paikar bhigo diya kaise kahun ki rut ki kadi rau se haar kar jiwan ke is safar mein tujhe main ne kho diya