lafzon mein asar kahan se aaya raste mein ye ghar kahan se aaya main hijr mein muskura raha hun mujh mein ye hunar kahan se aaya ek aag si ab lagi hui hai pani mein asar kahan se aaya nezon pe saron ko dekhta hun diwar mein dar kahan se aaya lau dene lage hain khak-dan bhi mitti mein asar kahan se aaya ab main kya bataun mujh mein ai 'tur' jine ka hunar kahan se aaya