lafzon mein kaisa rang-e-ma’ani dikhai de mere qalam mein aaj rawani dikhai de jaise ho sath-e-khwab pe ek be-sutun makan 'alam tamam dosto fani dikhai de ye dagh dagh apna dil-e-gham-nasib bhi yaro nigar-khana-e-ma’ni dikhai de tum zindagi ke talkh haqaeq se be-khabar tum ko hayat kyon na suhani dikhai de wo munjamid hai barf ki manind ai 'shamim' baaton mein jis ki sho’la-bayani dikhai de