laga hai aaina nazar churane hum ko dekh kar

laga hai aaina nazar churane hum ko dekh kar
nazar use bhi kuchh laga hai aane hum ko dekh kar

wo kya thi baat jo habib kar raha habib se
laga jo baat aur wo banane hum ko dekh kar

wo shams jo nikalta sahn se tha le hamari tab
laga hai meindh ka diya bujhane hum ko dekh kar

hamari pane ko jhalak guzari puri shab idhar
laga gali ka mod wo bhulane hum ko dekh kar

tha thama hum ne har qadam pe nanhe se jo qadmon ko
chhuda ke hath ab laga hai jaane hum ko dekh kar

hamare bin the mai-kade wo be-surur be-khumar
ki dekho phir nasha laga hai chhane hum ko dekh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close