laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye

laghzish-e-gam liye laghzish-e-mastana liye
aae hum bazm mein phir jurat-e-rindana liye

ishq pahlu mein hai phir jalwa-e-jaanana liye
zulf ek hath mein ek hath mein paimana liye

yaad karta tha hamein saqi-o-mina ka hujum
uth gae the jo kabhi raunaq-e-mai-khana liye

wasl ki subh shab-e-hijr ke baad aai hai
aaftab-e-rukh-e-mahbub ka nazrana liye

asr-e-hazir ko mubarak ho naya daur-e-awam
apni thokar mein sar-e-shaukat-e-shahana liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close