laghzish-e-saqi-e-mai-khana khuda khair kare phir na tute koi paimana khuda khair kare har ghadi jalwa-e-jaanana khuda khair kare tera dil hai ki sanam-khana khuda khair kare log kar dalen na khud apne jigar ke tukde be-naqab un ka chale aana khuda khair kare dil ki baat un se abhi kah to gae ho lekin koi ban jae na afsana khuda khair kare shama bechain hai badnam na ho jaun kahin par jala baitha hai parwana khuda khair kare kaun guzrega tere dar-o-rasan se hans kar gham hai jaane kahan diwana khuda khair kare panw uthte hi nahin 'shauq' jabin hai betab samne hai dar-e-jaanana khuda khair kare