laghzishen tanhaiyon ki sab bata di jaengi rangaten chehron ki is surat uda di jaengi khushk pedon par nae mausam ugane ke liye zard patton ki ye tahriren mita di jaengi qaht nindon ka padega chahaton ke khet mein khwab ki faslen agar sari jala di jaegi in sarabon mein muqayyad mujh se qaidi ke liye kya fasilen ret ki unchi utha di jaengi phir samundar ke makanon ka bhi lenge jaeza sidhiyan pani ki tah tak jab bana di jaengi kya khabar thi shak ki khatir dosti ke nam par aaj apni aastinen bhi dikha di jaengi jaeza jab mere ghar ka lene wo aae 'jamal' tuti phuti handiyan bhi khankhana di jaengi