lagta hai wo aaj khwab jaisa ek shakhs khuli kitab jaisa kya is mein hai mauj-e-ab jaisa be-lams hai wo sarab jaisa har shakhs pe sanp rengta hai hai zor-e-hawas azab jaisa har shakhs ko ranj-e-na-tamami qisse ke adhure bab jaisa baaton mein hai us ki zahr thoda thoda sa maza sharab jaisa main aks hun aur aaina wo rishta hai sarab o aab jaisa