lagunga khush magar naraaz hun main zamane ka naya andaz hun main bahut khush hun tumhein khush dekh kar main ye gham bhi hai nazar-andaz hun main jise mujh par yaqin bilkul nahin hai ek aise shakhs ka hamraaz hun main use anjam ki jaldi bahut thi main kahta rah gaya aaghaz hun main faqat sunna nahin mahsus karna khamoshi mein chhupi aawaz hun main nai dhun par bajaya ja raha hun purane daur ka ek saz hun main mujhe dushman samajhna hai samajh lo tumhaara dost hun dam-saz hun main