lahje ki udasi kam hogi baaton mein khanak aa jaegi do-roz hamare sath raho chehre pe chamak aa jaegi ye chand-sitaron ki mahfil malum nahin kab raushan ho tum pas raho tum sath raho jazbon mein kasak aa jaegi kuchh der mein baadal barsenge kuchh der mein sawan jumenge tum zulf yun hi lahrae raho mausam mein sanak aa jaegi jab us ki malahat ke qisse likkhunga ghazal ke sheron mein har rukhe-phike misre mein tasir-e-namak aa jaegi suraj ko zara kuchh dhalne do kuchh waqt ka dariya bahne do jo dhup abhi tak sar par hai wo panw talak aa jaegi ye soch ke tere qadmon ki kuchh khak uda di gulshan mein har phul mein tere chehre ki thodi si jhalak aa jaegi jis baat ka matlab khushbu hai har ganw ke kachche raste par us baat ka matlab badlega jab pakki sadak aa jaegi ye pyar ka din hai pyar ka din iqrar karo 'anjum'-sahab is din ki zara si qadr karo jiwan mein mahak aa jaegi