lahje ko apne shahd ke jaisa bana liya us ne tamam shahr ko apna bana liya wo bhi kisi ke sath ab apne safar mein hain hum ne bhi un ki yaad ko rasta bana liya bachchon ke aansuon mein ana gharq ho gai hathon ko ek bap ne kasa bana liya uncha makan biwi ke zewar ye gadiyan tum ne zamir bech ke kya kya bana liya darkar shakl pyar ki aankhon ko thi 'ratan' kaghaz pe hum ne hind ka naqsha bana liya