lahu ba-rang-e-digar husn-e-lala-zar mein hai

lahu ba-rang-e-digar husn-e-lala-zar mein hai
ye dukh khizan mein kahan tha jo ab bahaar mein hai

jo khushk hone laga hai to taza kar dega
ki zakhm zakhm mera sab nigah-e-yar mein hai

main bhul kar bhi nahin bhul pa raha hun jise
wo ek nam jo ab bhi dil-e-figar mein hai

dhalega sham ko suraj to haal puchhunga
abhi zamana hai us ka wo eqtidar mein hai

dilon mein zinda hai gar jazba-e-barahimi
na khauf kar ki tu namrud jaisi nar mein hai

zamin khod ke katba wo likh raha hai ki ab
naya sa koi safar aur intizar mein hai

muqaddaron ko sitaron mein qaid kar ke na rakh
bhala bura to tere dast-e-ikhtiyar mein hai

ab aasman ki bulandi ko ungliyan na dikha
tujhe khabar hai zamin is ke hi hisar mein hai

khulus-e-dil se pukaro to wo sunega zarur
ghurur mein kahan bakhshish jo inkisar mein hai

ye shairi ka hunar tu ne hi to bakhsha hai
sukhanwari ye kahan mere ikhtiyar mein hai

wo dil hi kya ki 'zafar' jo ghamon se aari ho
kahan wo lutf jo soz-e-dil-e-figar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close